Powerful Dua and haidth for difficult times
Pareshani ke Waqt Ki Dua aur Hadith
Insaan ki zindagi mein pareshani, gham aur mushkilaat aati rehti hain. Kabhi dil bojhal hota hai, kabhi halaat hum se bardasht nahi hotay. Aisay waqt mein Allah se dua aur Nabi ﷺ ki batayi hui duaein dil ko sukoon deti hain.
Pareshani ke Waqt Ki Dua
اللَّهُمَّ لَا سَهْلَ إِلَّا مَا جَعَلْتَهُ سَهْلًا، وَأَنْتَ تَجْعَلُ الْحَزْنَ إِذَا شِئْتَ سَهْلًا
Tarjuma:
“Ya Allah! Koi cheez asaan nahi hoti magar woh jise Tu asaan kar de, aur Tu chahay to gham ko bhi asaani mein badal deta hai.”
📖 (Ibn Hibban)
Pareshani ke Bare Mein Hadith
Hazrat Abu Huraira (RA) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya:
“Allah Ta’ala farmata hai:
Main apne banday ke guman ke sath hota hoon, aur jab banda mujhe yaad karta hai, main us ke sath hota hoon.”
📖 (Bukhari & Muslim)
Is Dua aur Hadith Se Kya Seekhte Hain?
✔ Har mushkil ka hal Allah ke paas hai
✔ Pareshani imaan ki azmaish hoti hai
✔ Allah par yaqeen rakhne walon ke liye raah asaan hoti hai
✔ Dua kabhi zaya nahi jaati
Naseehat
Agar aap pareshan hain to namaz, dua, aur Allah par bharosa kabhi na chhorain. Allah har andheri raat ke baad roshni deta hai.
Comments
Post a Comment